Mere marne ke baad mere sine se,
Dil nikal lena,
Kahi woh na jal jaaye,
Jo mere dil me rehte hai.
Mohabat Ka Naam Dekar,
Sitam Izaad Kar Dalaa,
Hasinou Ne Jise Chaha,
Use Barbad Kar Dalaa.
Zindagi jaise ek saza si ho gayee hai,
gham ke saagar mein is qadar kho gayee hai,
tum aa jao waapis yeh guzaarish hai meri,
mujhe shayad tumaari aadat si ho gayee hai.
E kaash kahin aisa hota
ki do dil hote seene main
Ek toot bhi jaata ishq mein
To taklif na hoti jeene mein.


