Neend aati hain to khwab aata hai
Khwab mein ek ladki aati hai
Ladki ke peeche uska baap aata hai
Na fir neend aati na khwab aata hai…!
Ye jo ladkiyo ke baal hote hai,
ladko ko lobhane ke jaal hote hai,
Khoob Khaati hai apple hamare paiso se,
tabhi to gaal itne laal hote hain…
Na salaam yaad rakhna,
Na paigaam yaad rakhna,
Ho sake to zindagi mein,
Hamara naam yaad rakhna.
Kaun rakhta hai yaad naamo ko,
Logh insaan ko bhool jaya karte hai.
Tum samandur ke baat karti ho,
Logh aankho mein doob jaya karte hai.
aakhon ki zuban wo samajh nahi pate,
honth hain magar kuch keh nahi pate,
apni bebasi kis tarah kahen,
koi hai jinke bina hum reh nahi paathe.
Zindgi me hamesha naye log milenge *
Kabhi zyada to kabhi kam milenge *
Aitbaar zara soch kar karna,
Mumkin nahi tumhe har jagah ham milenge…..
Khushboo ki tarah aapke paas bikhar jayenge*
Sukoon bankar dil me utar jayenge *
Mahsoos karne ki koshish to kijiye*
Door hote hue bhi paas nazar aayenge……..


