Kaash vaado ka matlab wo samajhte,
Kaash khamoshi ka matlab wo samajhte…
Ek ek nazar kehti hai hazaaron baatein,
Kaash meri ek nazar ka matlab wo samajhte
Naa jaane woh kaun si majboori thi jo woh keh na saki
poori zindagi wo yeh doori seh na saki
mujhe to kasam de ke usne rok liya
magar aasmaan ke aansoon ko behne se wo rok na saki…..
Chahenge tumhe par kabhi ruswa na karenge.
Saye se bhi apne kabhi shikwa na karenge.
Puchhenge hawaon se ghataon se tera haal,
Milne ki kabhi dua na karenge.
Aaj yeh tanhai ka ehsaas kuch hadd se zyada hai,
tere sang na hone ka malaal kuch hadd se zyada hai.
phir bhi kaat rahe yeh jiye jane ki saza yehi sochkar,
shayad is zindagani mein mere gunaah kuch hadd se zyada hai
Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
chale jayenge jab hum kabhi na waapis aane ko
Chalega mehfil mein jab zikr hamara koi,
To tum bhi tanhaai dhoondoge aansoon bahaane ko


