Shayari Mehfil

Aansoo

0 Comments 19 December 2010

Aansoo

Aansuon ko bahut samjhaaya
Ki tanhaaiyon mein aaya karo
Mehfil mein hamaara mazaakh mat udaaya karo
Is per aansoon tadap kar bole
Itne logo mein bhi aapko tanha paate hain
Isiliye aapka saath dene chale aate hain….

Ankho me aansuo ko ubhar ne na diya,
Mitti ke motiyo ko bikhar ne na diya,
Jis raah pe pade the tere kadamo ke nishan,
Us raah se kisi ko gujar ne na diya

Aankhon ki zubaan ye aansoon kehte hain
Chup rehte hain lekin phir bhi behte hain
In aansuon ki kismat to dekhiye
Yeh unke liye behte hain jo aankhon mein hi rehte hain……..

Na jane us par itna yaqeen kyon hai?
Us ka khayal itna hasin kyon hai?
Suna hai pyaar ka dard mitha hota hai.
To phir ankhose nikale ansu namkeen kyon hai?

Share your view

Post a comment

You must be logged in to post a comment.

© 2005 - 2012 CafeDeBakwaas.

Powered ByInfotianment Inc