Shayari Mehfil

Remember

Comments Off 07 February 2012

Always remember to forget
The things that made you sad
But never forget to remember
The things that made you glad.

Always remember to forget
The friends that proved untrue.
But don’t forget to remember
Those that have stuck by you.

Always remember to forget
The troubles that have passed away.
But never forget to remember
The blessings that come each day

Shayari Mehfil

Thaharii hai–Faiz Ahmad Faiz

Comments Off 06 February 2012

ab vahii harf-e-junuun sab kii zubaan Thaharii hai
jo bhii chal nikalii hai vo baat kahaan Thaharii hai

[harf=syllable/letter; junuu.N=madness]

aaj tak shaiKh ke ikaraam me.n jo shay thii haraam
ab vahii dushman-e-diin raahat-e-jaan Thaharii hai

[shaiKh=preacher; ikaraam=code/prestige]
[dushman-e-diin=foe of faith/religion; raahat-e-jaan=joy of life]

hai Khabar garm ke phirataa hai gurezaan naaseh
guftaguu aaj sar-e-kuu-e-butaa.N Thaharii hai

[gurezaa.N=perverse mood; guftaguu=conversation]
[sar-e-kuu-e-butaa.N=in the lane of love (one's beloved)]

hai vahii aariz-e-lailaa vahii shiirian kaa dahan
nigaah-e-shauq gha.Dii bhar ko yahaa.N Thaharii hai

[aariz=cheek; dahan=mouth/lips]

vasl kii shab thii to kis darjaa subak guzarii hai
hijr kii shab hai to kyaa saKht garaa.N guzarii hai

[vasl=union; darjaa=grade; subak=delicate]
[hijr=separation; shab=night; garaa.N=heavy]

bikharii ek baar to haath aa_ii kab mauj-e-shamiim
dil se nikalii hai to kab lab pe fuGaa.N Thaharii hai

[shamiim=fragrant breeze; fuGaa.N=cry of pain]

dast-e-sayyaad bhii aajiz hai kaf-e-gulchii.n bhii
buu-e-gul Thaharii na bul-bul kii zabaa.N Thaharii hai

[dast=hand; sayyaad=hunter; aajiz=helpless]
[kaf=palm; gulchii.n=florist; buu-e-gul=flower's fragrance]

aate aate yuu.N hii dam bhar ko rukii hogii bahaar
jaate jaate yuu.N hii pal bhar ko Khizaa.N Thaharii hai

[Khizaa.N=autumn]

ham ne jo tarz-e-fuGaa.N kii hai qafas me.n ijaad
“Faiz” gulashan me.n vo tarz-e-bayaa.N Thaharii hai

[tarz=style; qafas=cage/prison; ijaad=invented/developed]
[tarz-e-bayaa.N=style/mode of speech]

Shayari Mehfil

Written by– Faiz Ahmed Faiz

Comments Off 05 February 2012

aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye

baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii mein aaftaab aaye

har rag-e-Khuun mein phir charaaGaan ho
saamane phir wo benaqaab aaye

umr ke har waraq pe dil ko nazar
terii meher-o-wafaa ke baab aaye

kar rahaa thaa Gam-e-jahaan kaa hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye

na gaii tere Gam kii saradaarii
dil men yuun roz inqalaab aaye

jal uThe bazm-e-Gair ke dar-o-baam
jab bhii ham Khaanamaan_Kharaab aaye

is tarah apanii Khamashii guu.Njii
goyaa har simt se jawaab aaye

‘Faiz’ thii raah sar basar ma.nzil
ham jahaan pahunche kaamayaab aaye

Shayari Mehfil

Bahaar aa_ii– written by Faiz Ahmed Faiz

Comments Off 31 January 2012

bahaar aa_ii to jaise ek baar
lauT aaye hai.n phir adam se
vo Khvaab saare, shabaab saare
jo tere ho.nTho.n pe mar miTe the
jo miT ke har baar phir jiiye the
nikhar gaye hai.n gulaab saare
jo terii yaado.n se mushk_buu hai.n
jo tere ushshaaq kaa lahuu hai.n

ubal pa.De hai.n azaab saare
malaal-e-ahavaal-e-dostaa.N bhii
Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaa.N bhii
Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
tere hamaare
savaal saare, javaab saare
bahaar aa_ii to khul gaye hai.n
naye sire se hisaab saare

[i][mushk_buu = musk like fragrance]
[ushshaaq = lovers; azaab = difficulties/pain]
[malaal-e-ahavaal-e-dostaa.N = sorrow at
friends' condition]
[Khumaar-e-aaGosh-e-mahvashaa.N = intoxication
of being in one's beloved's embrace][/i]

Shayari Mehfil

Aksar Tanhai Main

Comments Off 30 January 2012

Aksar tanhai main, guzre hu’e lamho’n ki
awaazain suna karta hoon,
Aksar tanhai main, chup chup ke
roya karta hoon…

Teri yaadon ke samundar main,
main doob jata hoon,
tujhe yaad karke hi,
ab to dil ko behlata hoon…
Aksar tahai main…

Jab bhi teri yaad aati hai,
khaabo’n ki dunya main kho jata hoon,
tera naam le ke hi,
labhon ko thandak pohnchata hoo…
Aksar tahai main…

Tum meri zindagi ho,
jisse dil-o-jaan se chahta hoon,
tumhara chehra dekh kar hi,
main ab muskarata hoon…
Aksar tahai main…

Kuch din hain judaai ke,
par inhe maheene saal kehlata hoon,
ab jald milan hoga,
yeh sooch kar hi jee pata hoon…
Aksar tahai main…
__________________

Shayari Mehfil

Tou kya karoge

Comments Off 29 January 2012

Jab guzar jayegi bahar tou kya karogay
yaad ayega mera piyaar tou kya karogay,

satatay ho aise jaise ajnabi hun mai
jab roothayga tumsay yaar tou kya karogay,

apnao gay kisi aur ko mujhay tanha chor kar
usay hoga na tumsay piyaar tou kya karogay,

akhir laut aogay tum meri rahon pay
phir milayga na pehla piyaar tou kya karogay,

abhi tou hanstay ho meri wafaon pay
yaar phir rona bhi hoga bekaar tou kya karogay

Shayari Mehfil

uske intezaar me….

Comments Off 24 January 2012

koi yeh kaisey bataye yeh dil rota kyon hai,
tera diya hua har zakhm aaj bhi hara kyon hai…
tanhayi key in raaston mein humsafar dhoond ta kyon hai,
umeed toh ek mazaak hai dil yeh nahi maanta kyon hai…
yehi dil ko samjhaya hai maine har woh tanha raat,
jo kabhi tera tha hee nahi uska intezaar aaj bhi kyoun hai.

Page 1 of 1712345»10...Last »

© 2005 - 2012 CafeDeBakwaas.

Powered ByInfotianment Inc