JUDAI
Usko chaha bhi to iqraar karna na aaya,
Kat gayi umr, hamein pyar karna na aaya,
Usney maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek hum thay ke inkaar karna na aaya………
NAA AAYE WO….
Pher lete hain nazar, dil se bhula dete hain
Kya yun hi log wafaon ka sila dete hain
Wada kiya tha phir bhi na aaye mazaar par
Humne to jaan di thi isi aitbaar par
Kyon bhula diya humein, kyon dil se gira diya
Hum to yun hi mare huye the, aap ke inkaar par


