TERI AANKHON MAIN

Aug 27th, 2007 | By admin | Category: Shayari Mehfil

Tujhe zindagi main laana chahti hun
apni taqdeer banaana chahti hun
chupa lun tujhe duniya ki nigaahon se
cheen kar jahaan se apna banaana chahti hun
baharon ki tamanna liye nigaahon main
aa meri jaan tujhe gungunana chahti hun
jeene ki wajah tu hi to hai ai humdam
tujhe zindagi ka bahaana banaana chahti hun
gam-e-hijr main bhi tera hi tassavur hai
shab-e-firaq main bhi muskuraana chahti hun
teri ankhon main wo kashish wo nasha hai
tere suroor main doobne ka bahaana chahti hun
tere ishq ki jaadugari ka wo asar hai
tere pyaar main sar jhukaana chahti hun

Kaash aisa ho ki tumko tumse chura loon,
waqt ko rok kar waqt se ek din chura loon,
tum paas ho to is raat se ek raat chura loon,
tum saath ho to is jahan se ye jahan chura loon.

wo zindagi hi kya jisme pyar nahi,
wo pyar hi kya jisme yaden nahi,
wo yaden he kya jisme tum nahi,
wo tum hi kya jisme hum nahi.

Leave Comment